Usulon pe jahan aanch aaye takarana zaruri hai
Jo zindaa ho to phir zindaa nazar aana zaruri hai
Nai umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samajhaaye
kahaan se bach ke chalna hai kahaan jana zaruri hai
Thake-haare parinde jab basere ke liye laute
saliqaamand shaakhon kaa lachak jana zaruri hai
Bahut bebaak aankhon me Ta’alluq tik nahin pata
muhabbat me kashish rakhne ko sharmana zaruri hai
Saliqaa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaruri hai
Mere honthon pe apni pyaas rkh do aur phir socho
ki is ke baad bhi duniya me kuch pana zaruri hai

Posted in: POEM