Paise ki Chaha Me Dar-Dar Bhatakta Raha Hoon Mai
Or Pyar Kisi Ne Mujhe diya Nahi
Kya Rahi Hogi Meri Zindgi
Iska Tumhe andaja To Hoga,
Raat Ke Sukun Ka Intajar Karta Raha Hoon Mai
Or Din Ne Chain Kabhi Diya Nahi
Kaise Tim-Timati Hongi Meri Aankhe
Iska Tumhe andaja To Hoga,
Khane Ki Chaha Me Bilakhta Raha Hoon Mai
Or Kisi Ne Bhuka Mujhe Maana Nahi
Kaise Tadapti Hongi Meri Aante
Iska Tumhe andaja To Hoga,
Mere Ghaon Se Chilata Raha Hoon Mai
Or Duniya Ki Thokre Kabhi Ruki Nahi
Kaise Fud-Fudata Hoga Mera Sarir
Iska Tumhe andaja To Hoga,
Kamjor Sarir Ko liye Chalta raha Hoon Mai
Or Sahara Kisi ne Mujhe Diya Nahi
Kaise Dagmagate Honge Mere Kadam
Iska Tumhe andaja To Hoga,
Duniya Ke Ek Kone me Ruk Gayi Meri sanse
Or Kafan Kisi Ne Mujhe Diya Nahi
Kaise Sadti Rahi Hogi meri Lash
Iska Tumhe andaja To Hoga !!
Or Pyar Kisi Ne Mujhe diya Nahi
Kya Rahi Hogi Meri Zindgi
Iska Tumhe andaja To Hoga,
Raat Ke Sukun Ka Intajar Karta Raha Hoon Mai
Or Din Ne Chain Kabhi Diya Nahi
Kaise Tim-Timati Hongi Meri Aankhe
Iska Tumhe andaja To Hoga,
Khane Ki Chaha Me Bilakhta Raha Hoon Mai
Or Kisi Ne Bhuka Mujhe Maana Nahi
Kaise Tadapti Hongi Meri Aante
Iska Tumhe andaja To Hoga,
Mere Ghaon Se Chilata Raha Hoon Mai
Or Duniya Ki Thokre Kabhi Ruki Nahi
Kaise Fud-Fudata Hoga Mera Sarir
Iska Tumhe andaja To Hoga,
Kamjor Sarir Ko liye Chalta raha Hoon Mai
Or Sahara Kisi ne Mujhe Diya Nahi
Kaise Dagmagate Honge Mere Kadam
Iska Tumhe andaja To Hoga,
Duniya Ke Ek Kone me Ruk Gayi Meri sanse
Or Kafan Kisi Ne Mujhe Diya Nahi
Kaise Sadti Rahi Hogi meri Lash
Iska Tumhe andaja To Hoga !!